Wednesday, December 30, 2009

aao khusiyan manaye ke naya saal aa raha hain

naye patte phir bichenge
nayi baazi phir lagegi
hukmaran phir jeetenge
aam aadmi phir haarega

khusiyan manao ke naya saal aayega

keematen phir badhengi
zindagi aur sasti hongi
antanki humale aun honge
aur phir sandhiyan banegi

khusiyan manao ke naya saal aayega

recession se haar na mani ho to
job hunt se maan loge
swaine flu ne sulaya nahin hoga to
kal koi naya rog aayega

khusiyan manao ke naya saal aayega

humko kya fark padta hain.....

hum to har shukrawar nai filmen dekhenge
ghar jaate hue kharab raston ko dekh government ko kosenge
har match ki jeet pe sharab peeyenge
har weekend party bhi manayenge

fark to unko bhi nahin padta

jinke ghar mein kuch khana hi na ho...to menhgai kya marengi
kaam tha hi nahin..ab bhi nahin hain..to recession se kya lena unko
har election mein sharad aur paise mil hi jaate hain..
to kaun khoon choos raha hain..kya matlab hian aisi baaton se

unko fark nahin padta hain koi...na humko fark padta hain

aao khusiyan manaye ke naya saal aa raha hain

No comments:

Post a Comment