Tuesday, December 1, 2009

Ghalib ki haveli se laut kar

ek baar umrao begum ne ghalib se kaha tha
"andar aaiye..ghar to hain..garat shuda hi sahi"

maante to tab bhi the sab ghalib ko..par tab bhi ghar garat shuda hi tha...
aaj 140 saal ke baad bhi ghar gaarat shuda hi hain

haan... maante to aaj bhi utna hi hain sab ghalib ko....

tab dabeer-ul mulk-ka khitab diya tha baadshah salamat ne
aaj wo azeem shayar ki taarif se bhari tasweer ne neeche madamji ka naam hain....restored and maintained by....

aaj ghalib ki haweli se laut ne ke baad..ek ajeeb tajurba hua...
pehli baar laga ke shayad sab jaanta tha wo...

isi liye to usne tab hi keh diya tha

hue marke humjo ruswa, hue kyon na gark-e-dariya......

No comments:

Post a Comment